click here

Saturday 24 September 2016

body ghar par kaise banaye

Gym me strength training me mehnat karke aap tagdi body aur shandar Abs bana sakte hai, lekin ye aapke liye mehanga ho sakta hai, kyunki Gym me iske liye paise kharch karne padte hai. Lekin kya aap jante ho, Aap ghar ke kuch purane samano ka istemal karke bhi Behatreen Fitness Aur Tagdi Body pa sakte hai. Jrurat hai to bas Iccha Shakti ki. Aagr aap sochte hai ki aap ye kar sakte hai to aap ye jrur kar paoge aur yadi aap ye sochte ho ki Aapse ye nhi hoga to fir aapse ye nhi ho payega.
Chalo ab topic par aate hai, Aap purane samanon ko ikatha karke ghar par hi apne liye ek chota sa Gym bana sakte hai. Lakdi ke Bench, Purane Sand Bag, Graj me pada tyre aapke Body ko majboot banane me aapki madad kar sakte hai. Is post me hum aapko Fitness ke aise hi Gharelu Upaye ke baare me btayenge jinki help se aapko fir ye puchne ki jrurat nhi padegi kiBody Kaise Banaye ya Body Kaise Banti hai.

Plyometric Box.

Jump ke liye aap iska istemal kar sakte hai. Kyunki market me milne wale Ply Box mehange hote hai lekin ise aap thodi mehnat karke lakdi se bhi bna sakte hai. Iski height apne hisab se rakhein. To doston aaj se hi jumping ke liye Polymetric Box ka use kijiye aur Body Banane Ki Taraf Pehla Kadam badhayiye.

Sandbag

Aapke ghar par bhut se sandbag honge jo ab kaam me nhi aate to unhe dhoondhkar nikaliye aur usme apni chamta  (छमता, capability) ke hisab se bhar lijiye, ise running karte time apne kandho par tangiye. Inka upyog aap boxing ke liye bhi kar sakte hai.

Lifting Platform Banayiye

Ghar par bnaya hua Lifting Platform
Latakne ya exercise karne ke liye Gym ke kisi khas lifting platform ki jrurat nhi hai, aap ise ghar par bhi bna sakte hai. Apne ghar par lakdi se lifting platform taiyar kijiye.

Tyre Kheechna

Tyre ko kamar me bandh kar daudne ka seen aapne bhut si films me dekha hoga, ye aapki strenght ko badhane ke liye bhut hi acha exercise hai, to daudte time apne kamar me tayar latka kar bhagiye.

Steel Pipe

Ise aajmate waqt thoda dhyaan rakhein, kyunki iska vajan jyada hota hai aur ise uthane aur rakhne ke time aapko chot lag sakti hai agr sambhav ho to ek saathi jrur rakhein, khaskar ye exercise karte waqt. See : Chest Banane Ki Exercise.

Tractor Ka Tyre

Halanki ise uthane me shuruwaat me aapko problem hogi lekin ye ek prakar ki Strengh Training ki tarah hai. Tractor ke bade tyre ko ek jagah se dusri jagah le jayiye.

Push Ups

Push-Ups sadabhar exercise hai, ise kaise bhool sakte hai. Exercise karne se pahle aur baad me Push Ups lagana na bhoolein. Isse aapki bajuon ko strength milti hai aur muscles tight hote hai saath hi saath Chest bhi banti hai. Jaise jaise aapke push ups ki ginti badhti jaayegi samajhiye fayda milna shuru ho gya hai.